Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid Qanoon (Shariyat)
Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid Qanoon (Shariyat) Bismillahir Rahmanir Raheem Aqaid ka Bayan Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid Aqeedah 1: Allah Ta'ala ki Tauheed aur Kamalath Allah (Azzawajal) ek hai, paak, bemisal, be-aib hai. Har kamal o khoobi ka jameh hai. Koi kisi baat mein na us ka shareek na barabar, na us se badhkar. Woh ma apni sifath kamaliya ke hamesha se hai aur hamesha rahega. Hamesha sirf usi ki zaat o sifath ke liye hai. Us ke siwa jo kuch hai pehle na tha, jab us ne paida kiya toh hua. Woh apne aap hai, us ko kisi ne paida nahi kiya, na woh kisi ka baap, na kisi ka beta, na us ke koi biwi, na rishtedar, sab se be-niyaz. Woh kisi baat mein kisi ka mohtaj nahi aur sab us ke mohtaj. Rozi dena, marna, jilana usi ke ikhtiyar mein hai. Woh sab ka malik, jo chahe kare. Us ke hukm mein koi dum nahi maar sakta, bagair us ke chahe zarra nahi hil sakta. Woh har khuli, chupi hui, an-honi ko janta hai. Koi cheez us ke ilm se bahar nahi. Duniya jahan s...