Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid Qanoon (Shariyat)

 Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid

Qanoon (Shariyat)




Bismillahir Rahmanir Raheem

Aqaid ka Bayan

Allah Ta'ala ki Zaat aur Sifat ke Aqaid

Aqeedah 1: Allah Ta'ala ki Tauheed aur Kamalath

Allah (Azzawajal) ek hai, paak, bemisal, be-aib hai. Har kamal o khoobi ka jameh hai. Koi kisi baat mein na us ka shareek na barabar, na us se badhkar. Woh ma apni sifath kamaliya ke hamesha se hai aur hamesha rahega. Hamesha sirf usi ki zaat o sifath ke liye hai. Us ke siwa jo kuch hai pehle na tha, jab us ne paida kiya toh hua. Woh apne aap hai, us ko kisi ne paida nahi kiya, na woh kisi ka baap, na kisi ka beta, na us ke koi biwi, na rishtedar, sab se be-niyaz. Woh kisi baat mein kisi ka mohtaj nahi aur sab us ke mohtaj. Rozi dena, marna, jilana usi ke ikhtiyar mein hai. Woh sab ka malik, jo chahe kare. Us ke hukm mein koi dum nahi maar sakta, bagair us ke chahe zarra nahi hil sakta. Woh har khuli, chupi hui, an-honi ko janta hai. Koi cheez us ke ilm se bahar nahi. Duniya jahan saare alam ki har cheez us ki paida ki hui hai. Sab us ke bande hain. Woh apne bandon par maa baap se zyada meherban, reham karne wala, gunah bakhshne wala, tauba qabool farmane wala hai. Us ki pakad nihayat sakht, jis se bagair us ke chudaye koi chhoot nahi sakta. Izzat Zillat usi ke  ikhtiyar mein hai, jise chahe izzat de, jise chahe zaleel kare.Maal O Daolat Usi Ke Qabze Main Hai Jise Chahe Ameer Kare Jise Chahe Faqeer Kare.

Hidayat O Gumrahi Kiski Taraf Se Hai

Hidayat o gumrahi uski taraf se hai, jise chahe imaan naseeb ho, jise chahe kufr mein mubtala ho, woh jo karta hai hikmat hai, insaaf hai, Musalmanon ko jannat ata farmayega. Kafiron par dozakh mein azab karega, uska har kaam hikmat hai, bande ki samajh mein aaye ya na aaye, uski ne'matein uske ehsaan be inteha hain, wahi is laiq hai ke uski ibadat ki jaye, uske siwa dusra koi ibadat ke laiq nahi.

Khuda Ta'ala ki Tanzeeh

Allah Ta'ala jism o jismaniyat se paak hai. Yaani na woh jism hai, na usmein woh baatein paai jaati hain jo jism se talluq rakhti hain balki yeh uske haq mein muhal hain. Lehaza woh zaman o makan, taraf o jihat, shakal o surat, wazan o miqdar, ziyadah o nuqsan, hulool (1) o ittihad, tawalud o tanasul, harkat o intiqal, taghayyur o tabaddul wagherah ba jumla ausaf o ahwaal e jism se munazzah o bari hai aur Quran o Hadees mein jo baaz alfaz aise aaye hain maslan Yadun, Wajhun, Rijlun, Zahikun wagherah (2) (3) (4) (5) jinka zahir jismiyat par dalalat karta hai unke zahiri ma'ani lena gumrahi o badmazhabi hai.

************************
Ziyadah o Nuqsan: Yaani bishi o kami. Hulool: Yaani do cheezon ka mil kar ek ho jana. Muhal: Jo kabhi kisi tarah na ho sake. Yadun: Haath Wajhun: Chehra Rijlun: Taang Zahikun: Hasna

Comments

Popular posts from this blog

HISTORY OF HYDERABAD GOLDEN CITY

How to Start a Dropshipping Business

*PRESS NOTE* *Violation against Model Code of Conduct*