Dhū al-Ḥijjah...Iss Ashrah mein behtareen amal

 Dhū al-Ḥijjah...Iss Ashrah mein behtareen amal



Hazrat Ismail عليه السلام ke khubsurat alfaaz ko Qur'ān mein farmaya gaya:

قَالَ یَا أَبَتِ افْعَلْ مَا تُؤْمَرُ ۖ سَتَجِدُنِي إِن شَاءَ اللَّهُ مِنَ الصَّابِرِينَ


> "...Mere Walid, kijiye jis baat ka aapko hukm hota hai. Khuda ne chaha to qareeb hai ke aap mujhe Sābir paayenge."

> [Surah As-Saffat 37:102]


Sabr sirf ghusse ko rokna ya musibat mein khushi se bardasht karna nahi hai.

Imam Ghazali رحمه الله kehte hain ke *Allāh جَلَّ وَعَلا ki Ita'at aur haram cheezon se ruk jana bhi sabr ka ek hissa hai.*

 

Alḥamdulillāh Allāh جَلَّ وَعَلا ne ek martaba phir hame Ashrah -e- Dhū al-Ḥijjah me dakhil farmaya jo sabr aur qurbāni sikhata hai. Iski ahmiyat aur kaseer Fazail aapne sune aur padhe hain. Ham, Mahabbat aur Maarifat ke Talabgaaro (Salikeen) ke liye ye ayyaam zindagiyo ko tabdeel aur raushan karne ke liye ek sunehra mauqa yani ek booster ki tarah hai. Lihaza ham isko ghanimat jaane aur Allāh جَلَّ وَعَلا ke diye gaye iss tohfe ki qadr karein. Iss Ashrah mein behtareen amal gunaho'n se bachna hai jo hame Tazkiya course se hasil hoga. 

Agar ab tak aap ne shuru nahi kiya, to aaj se shuru kar dijiye, haqeeqi qurbāni dijiye aur Maarifat ki khushbu haasil kijiye kyunke,


_Tark -e- Lazzat bhi nahi hai Lazzat se kam, iska bhi maza chakna chahiye_


Allāh جَلَّ وَعَلا humein in mubarak dino mein Ikhlās, qurbāni ka jazba, tauba par Isteqamat se apni zindagiya roushan karne ki toufeeq ata farmaaye. 🤲✨

Comments

Popular posts from this blog

*PRESS NOTE* *Violation against Model Code of Conduct*

HISTORY OF HYDERABAD GOLDEN CITY

HYD NEWS:HIGHLIGHTS:CRICKET India will resume their innings tomorrow,..Ex AP CM Chandrababu Naidu Arrested In Alleged Corruption