Shaad Rahe Abaad Rahe Hyderabad Hamesha Hyderabad Rahe
Shaad Rahe Abaad Rahe Hyderabad Hamesha Hyderabad Rahe
Hyderabad ko Hyderabad hi Rahne Do, Pyar ka Gahwara hai yeh
Hyderabad ko Ujaadne ki Koshish Na Karo,Iski Fiza bhi Tumhain Nahi Bakhshegi
Hyderabad Ne Bada Naam Kamaya hai Dunya main
Hyderabad Ke Leader bhi Saheb E Ilm hote hain
Kisi Jahil ko Hyderabad Ka Leader hote nahi dekhna hai
Hyderabad ko Basane Wala Ek Bahadur Baadshah tha,Na ke Faoj ke Bharose Hukumat karne wala Faqeer
Nizam ko Bura bolte ho,Us Daor main Koi Danga Fasad Na tha, Na hi Koi bhed Bhao
Nizam Ne Hyderabad ki Taraqqi hi Nahi, Hindustan Ki Bhi Madad ki hai
Nizam Ne Naam nahi Badla Unke to Baap Dada bhi Raja the
Yeh Kya hain Jo Naam Badalne ko Bahaduri Samajh Rahe hain
Naam Unke Badlo Jo Badnaam hue,Na Masoom Bachche,Na Aourtain,Na Universities Mahfooz Rahe
Delhi ,UP ,Gujrat Na Banao Hyderabad ko,Kaheen to Insaniyat Baqi Rahne do
Hyderabad main Har Mazhab Saans Leta hai Azaadi ki, Yahan ka Insaan 'Insaniyat' Se Pyaar karta hai
Hyderabad main Nafrat ki Fiza Na Phailao Tum, Isi main Doobkar Marjaoge Tum
Hyderabad par Buri Nazar Na Daalo,Burai ka badla Kabhi Achcha nahi hota
Aae Khuda Hyderabad Par Buri Nazar Daalne walaon ko Achchai main badalde,Ilteja hai Yeh Nooria ki
Comments
Post a Comment