Namaz Say ye mat Kaho, Mujhe Bahot say kaam Hain
Namaz Say ye mat Kaho, Mujhe Bahot say kaam Hain
Kaho to kaam say Yehi ke, Namaz to Namaz hai
Namaz na padhne k bahane
• Aap chale mai aata hu,
• Time hi nahi milta,
• Mai na paak hu,
• Mera mood nahi hai,
• Juma se pakka padhunga,
• Dua me yaad rakhna,
• Dukan koun dekhe ga?
• Allah hidayat hi nahi deta.
Sawal: kya Namaz na padhne k ye bahane kal ko hamen jahannam ki aag se bacha sakenge?
Jawab: Nahin ! Har giz Nahin ! Kyun k : Allah subhana wa ta'ala Faramate hai:“ k jab jannati log
jahannamiyo se puchenge k tum ko kis cheez ne jahannam me dala? To wo kahenge k ham Namaz
nahi padhte the.(surah:muddassir, surah no:74, aayat no:42-43)
Yaad Rakho! Quran ne hamen bata diya ab Faisla hamara hai.

Comments
Post a Comment